Kahi na jaa, aaj kahi mat ja
phir mile na mile
ye pal ye sama baahon me aaja
kahi na ja aaj kahi mat jaa
Ye jo bas mein kadam nahi tere
main sanvaarungi dua sang mere
tere dil ki manzil hai yahaan
Jaane wafa, sach hai kisko pata
phir mile na mile
ye pal ye sama baahon mein aa jaa
meri raahon ka diya teri aankhen
mere gam ki dawa teri baatein
to phir aur jaana hai kaha
kahi na jaa, aaj kahi mat jaa ...
Uljhan teri main sab jaanu
tujhe teri tarah pehachaanu
jo main hu to gam kya jaanejaan
jab dil hua tera deewana
thokar mein hai sara zamaana
mera kya karega ye jahaan
Jaane wafa sach hai kisko pata
phir mile na mile, ye pal ye sama, baahon mein aa jaa
kahi na jaa, aaj kahi mat jaa ...
http://www.youtube.com/watch?v=Px8nEsvpq5Q
Thursday, May 14, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment